Aankhon mein tere ashq utaar lenge. Khushi tujhe dekar gam udhaar lenge. Tere jaane ke baad aayegi teri yaad. Tere khayaalo mein hi ...
Aankhon mein tere ashq utaar lenge.
Khushi tujhe dekar gam udhaar lenge.
Tere jaane ke baad aayegi teri yaad.
Tere khayaalo mein hi waqt guzaar lenge
Aankhon mein ashq diya karte hain,
Apni neende tere naam kiya karte hain,
Jab bhi aaye hichkiyan tumhe,
samajh lene hum yaad karte hain!
Ehsaas Tera Humne Tere baad bhi rakha,
Bhule bhi Tujhe aur Tujhe yaad bhi rakha,
Ojhal rakha Tujhe nigah se,
Khwabon ki tarah dil ke paas bhi rakha. Miss you
Tere intzaar mein is kadar waqt bita rahein hain Tere intazaar mein is kadar waqt bita hain kabhi PIZZA to kabhi ICE-CREAM kha rahein hain
Aankhon mein aasu aaye na hote,
jo piche mudkar muskuraye na hote,
unke jaane ke baad ye gum hota hai,
kash vo zindagi mein kabhi aaye na hote.
Aapki kami se dil mera udaas hai,
par mujhe to aapse milne ki aas hai,
zakhm nahi par dard ka ehsaas hai,
aisa lagta hai jaise dil ka ek tukda aapke paas hai.
Aansu ke chalakne ki aawaz nahi hoti,
dil ke tutane ki aahat nahi hoti,
agar hota khuda ko har dard ka ehsaas,
to use dard dene ki aadat nahi hoti.
Bhool Se Koi Bhool Hui To Bhool Samajh Kar Bhool Jana.
Arre Bhoolna Sirf Bhool Ko,
Bhool Se Bhi Hame Na Bhool Jaana.
Apni taqdeer mein to kuch aise hi silsilay likhe hain Ghalib.
Koi apna kar bhool gaya,
kisi ne bhool kar apna liya.
kabhi lafz bhool jaaon,
kabhi baat bhool jaaon,
uth ke tere paas se jo main chal don,
jaate hue khud ko tere paas bhool jaaon.
कोई टिप्पणी नहीं